Sometimes SILENCE says it all !!!

Spend some time ALONE everyday.. Remember that SILENCE is sometimes the best answer you can get ever from yourself !!!! Look at yourself In the 'MIRROR of INTROSPECTION' That is the only way YOU can become flawless in the SPIRITUAL MIRROR of UR SOUL !!!

Tuesday, January 30, 2007

Manzil !!!

Aaj dil ne ek Aawaz uthai,
kya hum sabhi ne hai apni 'MANZIL' pai ?


Kya ye sach hai ke, hum sabhi ne hai ek pechaan banai,
ya fir yuhin ab tak ki Zindagi gawayi.


Maine to jab bhi 'MANZIL' ki khoj me Zindagi ke sagar me dubki lagai,
saari aashyein ek bhawanar me dubti nazar aayi,
sansaar rupi maidaan me dur tak jahan bhi nazar daudyi,
ichhyain roti bilakhti pai.


Sochti hun ke, kya me hi apna manobal bator nahi pai,
ya fir sansar ne yeh kurup chavi sabhi ko hai dikhlai.


Apne aapko jawabo k jitna bhi najdik lai,
aur kai sawaalo ki gutthi me uljhi nazar aai.


Shayad Zindagi jine ke mayine me samajh hi nahi pai,

tabhi to jeevan ko aise mod par hun lai.


Aaj logon k saamne hothon par jo juthi hassin jhalkai,

vah shayad aane wali barbadi ka sanket hai lai.


Samajh nahi aata ki, jab dil me itni tarenge hai roj umdati aai,

to kyon main iss mulyawaan samay ki keemat samajh nahi pai,
Kyon ab tak yuhin vyarth use nasht karti aai.


Bhavishya kya la raha hai yeh to sansaar ko koi takat spasht batala nahi pai,

haan magar peeche mudkar dekho to ek baat spasht nazar hai aai,
ki vah 'MANZIL' hi to hai jo insaan ko jeene ka arth hai ab tak sikhlati aai.


yun to aaj bhi maine apni manzil ki tasveer purdtah nahi banai
par fir bhi apni ek alag pechaan banane ki kasam hai khai,

aaj mere dil ne hi hai mujhme ek jeevan jyot jalai,
aur maine kai sawaalo ko aag hai lagai.


yun dekha jaye to ab Zindagi kahin ird-gird mandrati hi pai,

par ab bhi ek shanka nahi mit pai,
vah yeh ki jiski khoj me main meelo dur se chali aai,
shayad us 'MANZIL' ki paribhasha hi main theek se samajh nahi pai.


Yeh jeevan ki 'MANZIL' koi averest ki choti to nahi,

jiski unchiyon par pahunch kar kaha jaye,
ki bas yahi hai mere jeevan ki santushti aur sacchai.


Lo isiliye fir is 'MANZIL' ke mayane main samajh nahi pai,

aur dil ne fir wahi aawaz uthai,
ki kya hum sabhi ne hai apni 'MANZIL' pai ???

~~~~Nidhi Shrotriya

3 comments:

Anonymous said...

Nice one dear, seems a bit puzzled with the words the way you used them..but finally...really worth reading as vikas said.
Hey keep writing n thnx 4 this one!!!

Anonymous said...

Nice one Nidhi, seems that your command on typical hindi words is 2 gud, really u used them very well...
n the most appreciable thing of this poem is ofcourse the theme it belongs 2..typically confused teenagers..dnt know wat 2 do, wat 2 choose n whr 2 go..alwyz puzzled until they got smthng !!
really nice !!

Anonymous said...

Wow... this site is so interesting. I just wanted to know how do you monetize it? Can you give me a few advices? For example, I use http://www.bigextracash.com/aft/2e7bfeb6.html

I'm earning about $1500 per month at he moment. What will you recommend?